Lehron se darkar nauka paar nahin hoti,
koshish karne waalon ki haar nahin hoti,
Nanhi cheenti jab daana lekar chalti hai,
Chadhti deewaaron par, sao baar phisalti hai.
Mann ka vishwaas ragon mein saahas bharta hai,
Chadhkar girna, girkar chadhna naa akharta hai.
Aakhir uski mehnat bekaar nahin hoti,
koshish karne waalon ki haar nahin hoti.
Dubkiyaan sindhu mein gotaakhor lagaata hai,
jaa jaa kar khaali haanth lautkar aata hai.
Milte nahin sahaj hi moti gehre paani mein,
badhta duguna utsaah issi hairani mein.
Mutthi uski khaali har baar nahin hoti,
Koshish karne waalon ki haar nahi hoti.
Asaflta ek chunauti hai, isse sweekar karo,
kya kami reh gayi, dekho aur sudhaar karo.
Jab tak naa safal ho, neend chain ki tyago tum,
Sangharsh ka maidaan chhodkar mat bhaago tum.
Kuch kiye bina hi jai jaikar nahin hoti,
koshish karne waalon ki haar nahin hoti.
by Harivanshrai Bachchan
Saturday, April 11, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment